Mast Hawa VIDEO Song Shorgul | Pratibha Singh Bagel | Kapil Sibal | Jimmy Shergill & Hrishita Bhatt

2016-06-15 110

Mast Hawa VIDEO Song Shorgul | Pratibha Singh Bagel | Kapil Sibal | Jimmy Shergill & Hrishita Bhatt

Vivadit film Shorgul ka ek aur song out ho gaya hai jiske bol hai Mast Hawa..jiske lyrics ko Kapil Sibal ne likha hai aur lalit pandit ne song ko compose kiya ahi..film Shorgul ke pehle gaane Tere Bina ne apne soft composition aur beautiful visuals se sabko chaunka diya tha..lekin film ka ye dusra song ek item number hai jise Hrishita Bhatt par filmaya gaya hai..Hrishita Bhatt album song Aankhon Mein tera Hi Chehra mei actor Shahid Kapoor ke saath dikhi thi..jahan unhone apni khubsurti se lakhon dilon ke chain ko churaya tha..uske baad Abhishek Bachchan ki Shararat, Shahrukh ki Ashoka aur Riteish Deshmukh ki Out of Control mei bhi is adakar ne behatrin kaam kiya tha..aur ab is item song mei wo ek nachaniya girl bani hai jahan is film emi rajnetaon ki partiyon mei wo nachne ka kaam karti hai ..Mast Hawa ek typical item song hai jaisa pehle bhi bollywood ki filmon mei dekha ja chukka hai.is gaane emi Hrishta black and golden combo ke outfit mei dikh rahi ahi..jahan wo apne seductive dance moves se Jimmy ko rijhati nazar aa rahi hai..aur mast hawa song ke zariye apne sensual side ko dikha rahi hai..wahin ye song typical Bhojpuri andaz ka dikh raha hai jahan Hrishita Bhojpuri film ki item girl lag rahi ahi..aur rajnetaon ki bahon mei jhulti dikh rahi hai..Pranav Kumar Singh directed Political drama Shorgul apne release ke pehle hi vivadon mei aa gaya hai jahan aesa kaha ja raha hai ki ye film Sangeet Som, Akhilesh Yadav aur Azam Khan ki zindagiyon se prerit hai lekin film ke lead actor Jimmy Shergil ne kaha hai ki ye koi biopic film nahi hai ye ek samajik rajnitik film hai jahan prem kahan bhi dikhaya gaya hai..wahin jab film ka trailer release hua tha tab en netaon ke samarthako ne film ke virudh apna virodh jataya tha..film se jude sutron ki mane to Shorgul mei Babri dhwansh, Godhra dango ki baat ki gayi hai..lekin vidhayako ka kehna hai ki film ki kahani makhya rup se Muzzafarnagar ke dango ke ird gird hai..jahan Pradesh ke mukhyamntri ko ek villain ke rup mei dikhaya gaya hai..aur unka kehna hai ki wo kanun se sadak tak ki ladai ladenge, lekin film ko release nahi hone denge..well ye film UP ke backdrop par aadharit hai wahin film ko Censor board ne paas kar diya hai ..aur 24th June ko film release hone jar ahi hai..

Watch The Video To Know More!!

SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8

Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/